kis kī mahfil se uTh ke aayā huuñ
apne ghar meñ huuñ aur tanhā huuñ
tū mirī zindagī kī shaam na ban
maiñ tirī sub.h kā ujālā huuñ
chāñd meñ bastiyāñ basā lenā
mujh ko DhūñDho ki maiñ bhī duniyā huuñ
jān-e-imroz raunaq-e-fardā
koī samjhe mujhe to kyā kyā huuñ
kaise jhuTlā.egī mujhe duniyā
maiñ ki hālāt kā taqāzā huuñ
merī ḳhushbū se bas rahe haiñ chaman
maiñ har ik shāḳh-e-gul se paidā huuñ
ye jahāñ mazra-e-tamannā hai
aur maiñ hāsil-e-tamannā huuñ