surḳhi-e-shām ne yuuñ phuul bikhere dil meñ
jaise chupke se utar aa.e savere dil meñ
ham to sadiyoñ se yuuñ hī gosh bar-āvāz rahe
jaane vo kaun hai kyā raaz haiñ tere dil meñ
paas shab bhar koī ḳhurshīd-sifat rahtā hai
din to taare se utar aate haiñ mere dil meñ
pyaar kī lū se munavvar hai shabistān-e-visāl
aaj to aan mile shaam savere dil meñ
ham musāfir haiñ mohabbat kī kaThin rāhoñ ke
thak bhī jaate haiñ to karte haiñ basere dil meñ
kyuuñ bhaTaktā hai idhar aa ke zarā sustā le
is taraf dhuup hai bādal hai ghanere dil meñ
apnā sarmāya-e-fan phir bhī salāmat hī rahā
kitnī hī baar 'jamīl' aa.e luTere dil meñ