Jameel Malik

kaun hamara dard baTae kaun hamara thame hat

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
kaun hamārā dard baTā.e kaun hamārā thāme haat
un ke nagar meñ jagmag-jagmag apne des meñ raat hī raat
niile niile ambar par vo chāñd vo kirnoñ kī barsāt
ham donoñ kho.e kho.e se haa.e vo mast-manohar ghaat
tū gulshan gulshan iThlā.e maiñ sahrā sahrā bhaTkūñ
dil kā ye saudā hai varna terā aur merā kyā saat
sab duniyā-dārī kī bāteñ dil meñ aur zabāñ par aur
tujh se pyaar baḌhā kar āḳhir jaan ga.e terī auqāt
chāhe ab is ko apnāo chāhe naaz se Thukrāo
aaj se apnā daḳhl nahīñ hai dil kī Dor tumhāre haat
duniyā kā manshā hai pyāre ham ghuT ghuT kar mar jaa.eñ
dil kī dhaḌkan ye kahtī hai ik din badleñge hālāt
ek anokhī lai se maiñ ne sab ke dil pighlā.e haiñ
duniyā ko ye vahm ki mere hoñToñ par hai apnī baat
Top Urdushayar.com