Jameel Malik

wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
vo ā.eñge to khileñge nashāt-e-vasl ke phuul
shab-e-firāq meñ un kī saḳhāvatoñ ko na bhuul
yahī hai kyā tirī taqsīm-e-gulsitāñ kā usuul
kisī ko phuul mileñ aur kisī ko ḳhaar babūl
zamīñ kā rañg to ham-rañg-e-dām hotā hai
bhaTak na jaa.eñ kahīñ merī chāhatoñ ke rasūl
tumhāre paas to sim-sim kā ism-e-āzam hai
ye kyā ki band hai apne liye hī bāb-e-qubūl
kisī kā dīda-e-ḳhūnīñ bhī rañg lā na sakā
kisī ke shola-e-tan se pighal ga.e haiñ usuul
bujhā.eñ pyaar mohabbat ke shabnamistāñ se
na baiTh jaa.e gul-e-jāñ pe nafratoñ kī ye dhuul
bharī bahār meñ jaise phuvār paḌtī hai
kuchh is tarah mire dil par hai shā.irī kā nuzūl
ulajh ga.e kabhī sañgīñ haqīqatoñ se 'jamīl'
kabhī kisī ke tasavvur se ho ga.e haiñ malūl
Top Urdushayar.com