Jameel Malik

gul-pairahan rahe ki darida-qaba rahe

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
gul-pairahan rahe ki darīda-qabā rahe
jis haal meñ rahe tirā naqsh-e-baqā rahe
ham to tamām umr tirī hī adā rahe
ye kyā huā ki phir bhī hamīñ bevafā rahe
chāhī jo tū ne baat vahī baat ham ne kī
terī zabāñ bane tire dil kī sadā rahe
tū saath saath thā to ḳhudā.ī bhī saath thī
apnī rafāqatoñ ke nishāñ jā-ba-jā rahe
tujh ko bhulā ke bhī na tujhe ham bhalā sake
nā-āshnā vo the ki jahāñ āshnā rahe
sab dekhte the phir bhī koī dekhtā na thā
sab ke liye rasā the magar nā-rasā rahe
lab par ho shikva-rez tabassum bujhā huā
dil meñ magar kisī kī mohabbat sivā rahe
tasvīr kī tarah tirī sūrat ho rū-ba-rū
tasvīr ban ke koī tujhe dekhtā rahe
dil tañg ho to vus.at-e-ālam bhī tañg-tar
duniyā bahut khulī hai agar dil meñ jā rahe
lagte hī aañkh raat ke hañgāme so ga.e
jaage the jitnī der qayāmat bapā rahe
phūloñ ne jā ke sej sajā.ī tamām raat
kāñTe chaman ke sab mire dāman meñ aa rahe
ye jashn-e-nā-ḳhudā hai ki maujoñ kā raqs hai
kashtī ho ġharq-e-āb magar nā-ḳhudā rahe
kahne ko ek lafz mire paas hai 'jamīl'
jab le uḌe vo baat mire paas kyā rahe
Top Urdushayar.com