Duubā huā huuñ dard kī gahrā.iyoñ meñ bhī
maiñ ḳhanda-zan huuñ khokhlī dānā.iyoñ meñ bhī
uryāñ hai saarā shahr chalī yuuñ havas kī lahar
tujh ko chhupā rahā huuñ maiñ tanhā.iyoñ meñ bhī
kaise the log jin kī zabānoñ meñ nuur thā
ab to tamām jhuuT hai sachchā.iyoñ meñ bhī
ab nek-nāmiyoñ meñ bhī koī mazā nahīñ
pahle to ek lutf thā rusvā.iyoñ meñ bhī
vo dauḌ hai kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ
ab kitnī ġhairiyat hai shanāsā.iyoñ meñ bhī
rañgīn sā.atoñ meñ kahāñ vo malāhateñ
parchhā.iyoñ kā jaal hai ra.anā.iyoñ meñ bhī
ham jin ke vāste the tamāshā bane hue
dekhā to vo nahīñ the tamāshā.iyoñ meñ bhī
maiñ hī thā vo jo apne hī teshe se mar gayā
hī hī thā shahr-e-jabr ke balvā.i.oñ meñ bhī
kyā daur hai ki jis meñ sadā bhī sukūt hai
tanhā.iyāñ haiñ anjuman-ārā.iyoñ meñ bhī
vo pyaar do ki jis kī chamak maañd hī na ho
hotā hai ye ḳhulūs to harjā.iyoñ meñ bhī
saaz o sadā ke shor meñ gum ho gayā 'jamīl'
kis kis ke dil kā dard thā shahnā.iyoñ meñ bhī