sharminda unheñ aur bhī ai mere ḳhudā kar
dastār jinheñ dī hai unheñ sar bhī atā kar
luuTā hai sadā jis ne hameñ dost banā kar
ham ḳhush haiñ usī shaḳhs se phir haath milā kar
Dar hai ki na le jaa.e vo ham ko bhī churā kar
ham laa.e haiñ ghar meñ jise mehmān banā kar
ik mauj dabe paañv ta.āqub meñ chalī aa.ī
ham ḳhush the bahut ret kī dīvār banā kar
ham chāheñ ki mil jaa.eñ hameñ Dher se motī
sīḌhī kisī pur-haul samundar meñ lagā kar
darkār ujālā hai magar sahme hue haiñ
kar de na añdherā koī bārūd jalā kar
le is ne tirā kāsa-e-jāñ toḌ hī Daalā
jā kūcha-e-qātil meñ 'qatīl' aur sadā kar