Jameel Malik

aao patjhaD mein kabhi haal hamara dekho

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
aao patjhaḌ meñ kabhī haal hamārā dekho
ḳhushk pattoñ ke sulagne kā tamāshā dekho
paas aa kar mire baiTho mujhe apnā samjho
jab bhī rūThī huī yaado mujhe tanhā dekho
phuul har shāḳh pe khilte haiñ bikhar jaate haiñ
kyā tamāshā hai sar-e-naḳhl-e-tamannā dekho
kabhī ham-rañg-e-zamīñ hai kabhī ham-dosh-e-falak
kohsāroñ se uchhaltā huā dariyā dekho
khultī jaatī hai shafaq rañgī-e-ḳhūñ-tā-ba-sahar
shab ke siine meñ jo paivast hai neza dekho
yuuñ to ghar hī meñ simaT aa.ī hai duniyā saarī
ho mayassar to kabhī ghuum ke duniyā dekho
unhī āñkhoñ meñ utar jaatī hai har shaam 'jamīl'
unhī āñkhoñ se nikaltā hai saverā dekho
Top Urdushayar.com