Jameel Malik

lakh ehsas tera kushta-e-haalat rahe

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
laakh ehsās terā kushta-e-hālāt rahe
tire hoñToñ pe shagufta sī koī baat rahe
tū ne har daur meñ ulTī hai bisāt-e-ālam
aaj ye āḳhirī baazī bhī tire baat rahe
ye bhī milnā hai ki bas mil ke bichhaḌ jaate haiñ
lutf to jab hai ki ik umr mulāqāt rahe
kā.enāt un ke liye ek sarāb ek ḳhayāl
jo nigahbān-e-haram mahv-e-ġham-e-zāt rahe
yuuñ sar-e-bazm koī naġhma-e-jāved sunā
ki tire ba.ad bhī mahfil meñ tirī baat rahe
kyā ajab ek hī manzil ho hamārī ai dost
raah kaT jā.egī donoñ kā agar saat rahe
apnā sheva ki jalāte haiñ añdheroñ meñ charāġh
un kī sāzish ki zamāne meñ yūñhī raat rahe
jo lagāte rahe har haal pe jaañ kī baazī
kyuuñ 'jamīl' un ke muqaddar meñ faqat baat rahe
Top Urdushayar.com