Jameel Malik

teri justuju mein nikle to ajab sarab dekhe

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
tirī justujū meñ nikle to ajab sarāb dekhe
kabhī shab ko din kahā hai kabhī din meñ ḳhvāb dekhe
mire dil meñ is tarah hai tirī aarzū ḳhirāmāñ
koī nāznīñ ho jaise jo khulī kitāb dekhe
jise merī aarzū ho jo ḳharāb-e-kū-ba-kū ho
mujhe dekhne se pahle tujhe be-naqāb dekhe
jise kuchh nazar na aayā ho jahāñ rañg-o-bū meñ
vo khilā gulāb dekhe vo tirā shabāb dekhe
do-jahāñ ko lā Dubo.e vo zarā sī aabjū meñ
tirī chashm-e-surmagīñ ko jo koī pur-āb dekhe
yuuñ Thahar Thahar ke guzrī shab-e-intizār yaaro
ki sahar ke hote hote ka.ī ham ne ḳhvāb dekhe
mujhe dekhnā ho jas ko mire haal par na jaa.e
mirā zauq-o-shauq dekhe mirā intiḳhāb dekhe
Top Urdushayar.com