Jameel Malik

raste mein luT gaya hai to kya qafila to hai

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
raste meñ luT gayā hai to kyā qāfila to hai
yaaro na.e safar kā abhī hausla to hai
vāmāñdgī se uTh nahīñ saktā to kyā huā
manzil se āshnā na sahī naqsh-e-pā to hai
hāthoñ meñ haath le ke yahāñ se guzar chaleñ
qadmoñ meñ pul-sirāt sahī rāstā to hai
māñge kī raushnī to koī raushnī nahīñ
is daur-e-musta.ār meñ apnā diyā to hai
ye kyā zarūr hai maiñ kahūñ aur tū sune
jo merā haal hai vo tujhe bhī patā to hai
apnī shikāyateñ na sahī terā ġham sahī
iz.hār-e-dāstāñ kā koī silsila to hai
ham se koī ta.alluq-e-ḳhātir to hai use
vo yaar bā-vafā na sahī bevafā to hai
vo aa.e yā na aa.e mulāqāt ho na ho
rañg-e-sahar ke paas ḳhirām-e-sabā to hai
paañv kī chaap se mirī dhaḌkan hai ham-navā
is dasht-e-haul meñ koī naġhma-sarā to hai
sūraj hamāre ghar nahīñ aayā to kyā huā
do-chār āñganoñ meñ ujālā huā to hai
kāñTā nikal bhī jā.egā jab vaqt aa.egā
kāñTe ke dil meñ bhī koī kāñTā chubhā to hai
maiñ reza reza uḌtā phiruñgā havā ke saath
sadiyoñ meñ jhāñk kar bhī mujhe dekhnā to hai
āshob-e-āgahī kī shab-e-be-kanār meñ
tere liye 'jamīl' koī sochtā to hai
Top Urdushayar.com