ye manzar ye ruup anokhe sab shahkār hamāre haiñ
ham ne apne ḳhūn-e-jigar se kyā kyā naqsh ubhāre haiñ
sadiyoñ ke dil kī dhaḌkan hai un kī jāgtī āñkhoñ meñ
ye jo falak par hañsmukh chanchal jagmag jagmag taare haiñ
ek zarā sī bhuul pe ham ko itnā tū badnām na kar
ham ne apne ghaao chhupā kar tere kaaj sañvāre haiñ
kuchh bāteñ kuchh rāteñ kuchh barsāteñ apnā sarmāya
maazī ke andhiyāre meñ ye jalte diip hamāre haiñ
ek jahāñ kī khoj meñ apne pyaar kī nagrī chhoḌ aa.e
aur zamāna ye samjhā ham pyaar kī baazī haare haiñ
sab se hañs kar milne vaale ham ko kisī se bair nahīñ
duniyā hai mahbūb hameñ aur ham duniyā ko pyāre haiñ