Jameel Malik

kal tak kitne hangame the ab kitni KHamoshi hai

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
kal tak kitne hañgāme the ab kitnī ḳhāmoshī hai
pahle duniyā thī ghar meñ ab duniyā se rū-poshī hai
pal bhar jaage gahrī niind kā jhoñkā aayā Duub ga.e
koī ġhaflat sī ġhaflat madhoshī sī madhoshī hai
jitnā pyaar baḌhāyā ham se utnā dard diyā dil ko
jitne duur hue ho ham se utnī ham-āġhoshī hai
sab ko phuul aur kaliyāñ bāñTo ham ko do sūkhe patte
ye kaise tohfe laa.e ho ye kyā barg-faroshī hai
rañg-e-haqīqat kyā ubhregā ḳhvāb hī dekhte rahne se
jis ko tum koshish kahte ho vo to lazzat-koshī hai
hosh meñ sab kuchh dekh ke bhī chup rahne kī majbūrī thī
kitnī mānī-ḳhez 'jamīl' hamārī ye be-hoshī hai
Top Urdushayar.com