ye aur baat hameñ sūrat-e-gulāb lage
'jamīl' zaḳhm lage aur be-hisāb lage
tumhāre ba.ad na takmīl ho sakī apnī
tumhāre ba.ad adhūre tamām ḳhvāb lage
maiñ kaise tujh ko pukārūñ kahāñ se lā.ūñ tujhe
tire baġhair agar zindagī azaab lage
maiñ jitnī baar paḌhūñ kaise kaise rañg bharūñ
tirā gulāb sā chehra mujhe kitāb lage
har ik savāl pe to muskurā ke rah jaa.e
hameñ to ek hī jaisā tirā javāb lage
dikhā.ī de kabhī mahtāb meñ tirī sūrat
kabhī tū din ke ujāle meñ āftāb lage
'jamīl' ḳhvāb haqīqat-numā bhī hote haiñ
vahī qarīb-e-rag-e-jāñ hai jo sarāb lage