taḌaptī haiñ tamannā.eñ kisī ārām se pahle
luTā hogā na yuuñ koī dil-e-nākām se pahle
ye aalam dekh kar tū ne bhī āñkheñ pher liiñ varna
koī gardish nahīñ thī gardish-e-ayyām se pahle
girā hai TuuT kar shāyad mirī taqdīr kā taarā
koī āvāz aa.ī thī shikast-e-jām se pahle
koī kaise kare dil meñ chhupe tūfāñ kā andāza
sukūt-e-marg chhāyā hai kisī kohrām se pahle
na jaane kyuuñ hameñ is dam tumhārī yaad aatī hai
jab āñkhoñ meñ chamakte haiñ sitāre shaam se pahle
sunegā jab zamāna merī barbādī ke afsāne
tumhārā naam bhī aa.egā mere naam se pahle