Qateel Shifai

rabta lakh sahi qafila-salar ke sath

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
rābta laakh sahī qāfila-sālār ke saath
ham ko chalnā hai magar vaqt kī raftār ke saath
ġham lage rahte haiñ har aan ḳhushī ke pīchhe
dushmanī dhuup kī hai sāya-e-dīvār ke saath
kis tarah apnī mohabbat kī maiñ takmīl karūñ
ġham-e-hastī bhī to shāmil hai ġham-e-yār ke saath
lafz chuntā huuñ to mafhūm badal jaatā hai
ik na ik ḳhauf bhī hai jur.at-e-iz.hār ke saath
dushmanī mujh se kiye jā magar apnā ban kar
jaan le le mirī sayyād magar pyaar ke saath
do ghaḌī aao mil aa.eñ kisī 'ġhālib' se 'qatīl'
hazrat 'zauq' to vābasta haiñ darbār ke saath
Top Urdushayar.com