māhaul se jaise ki ghuTan hone lagī hai
be-kaifiyatī uzv-e-badan hone lagī hai
kuchh farq sā mahsūs nahīñ shām-o-sahar meñ
uThne ke tasavvur se thakan hone lagī hai
mafqūd huī ḳhunkī-e-ehsās nazar se
sabzoñ ko bhī dekhe se jalan hone lagī hai
kuchh us se gila bhī hai kuchh apnī bhī ḳhatā.eñ
yuuñ us ke tasavvur se chubhan hone lagī hai
hassās bhī imroz tabī.at se zyāda
aur tez bhī kuchh bū-e-saman hone lagī hai
pahle bhī tirī baat hī markaz thī suḳhan kā
ab yaad tirī sarf-e-suḳhan hone lagī hai
ai 'tāj' tire ek nasheman ke hasad meñ
aa dekh ki taḳhrīb-e-chaman hone lagī hai