maiñ us kī aañkh meñ vo mere dil kī sair meñ thā
vo apne shahr meñ aur maiñ dayār-e-ġhair meñ thā
ham apne ghar se bahut duur jā ke lauT aa.e
kisī kī aañkh kā kāñTā hamāre pair meñ thā
milā to ashk-e-nadāmat kī tah meñ us kā surāġh
kisī ke dil meñ na ka.abe meñ thā na dair meñ thā
maiñ jāntā huuñ liyā jā rahā thā merā naam
maiñ dushmanoñ kī tarah us ke zikr-e-ḳhair meñ thā
na jaane kaise masā.il the apne rishtoñ meñ
sukūn sulh ke aalam meñ thā na bair meñ thā
ye aur baat ki vo sab se pahle Duub gayā
tumhārā 'tāj' bhī ḳhud-āgahī kī tair meñ thā