Husain Taj Rizvi

hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh

Husain Taj Rizvi

hai mere gird yaqīnan kahīñ hisār sā kuchh
aur us ko bhī hai duāoñ pe e'tibār sā kuchh
kahīñ to gosha-e-dil meñ ummīd baaqī hai
kahīñ hai us kī nazar meñ bhī intizār sā kuchh
kahā jab us ne ke āñkhoñ pe e'tibār na kar
to maiñ ne maañg liyā dil pe iḳhtiyār sā kuchh
ye saarā khel faqat gardishoñ kā hai āhañg
fuzūl DhūñD rahe ho yahāñ qarār sā kuchh
jo le ke aayā thā sailāb ḳhushbūoñ kā kabhī
vo bhar gayā hai mirī aañkh meñ ġhubār sā kuchh
utar chukā hai badan se tamām nasha-e-vasl
chaḌhā chaḌhā sā tabī.at pe hai ḳhumār sā kuchh
sunā hai ye bhī buzurgī kī ik alāmat hai
so maiñ bhī hone lagā 'tāj' ḳhāksār sā kuchh
Top Urdushayar.com