uljhaneñ itnī thiiñ manzar aur pas-manzar ke biich
rah ga.ī saarī masāfat miil ke patthar ke biich
ruḳh se ye parda haTā behosh kar mujh ko tabīb
guftugū jitnī bhī ho phir zaḳhm aur nashtar ke biich
us ko kyā ma.alūm ahvāl-e-dil-e-shīsha-garāñ
varna aa jaatā kabhī to haath aur patthar ke biich
shauq-e-sajda bandagī vāraftagī aur be-ḳhudī
mo'tabar sab us kī chaukhaT aur mere sar ke biich
ik qayāmat husn us kā aur vo bhī jalva-gar
maiñ faqat mab.hūt jaadū aur jādūgar ke biich
maiñ bhī ḳhuddārī kā maarā thā safā.ī kuchh na dī
us ne bhī matlab nikāle lafz aur tevar ke biich
vaqt aur masrūfiyat ke mas.ale sab ik taraf
dūriyāñ itnī nahīñ thiiñ 'tāj' apne ghar ke biich