aao koī tafrīh kā sāmān kiyā jaa.e
phir se kisī vaa.iz ko pareshān kiyā jaa.e
be-laġhzish-e-pā mast huuñ un āñkhoñ se pī kar
yuuñ mohtasib-e-shahr ko hairān kiyā jaa.e
har shai se muqaddas hai ḳhayālāt kā rishta
kyuuñ maslahatoñ par use qurbān kiyā jaa.e
muflis ke badan ko bhī hai chādar kī zarūrat
ab khul ke mazāroñ pe ye elaan kiyā jaa.e
vo shaḳhs jo dīvānoñ kī izzat nahīñ kartā
us shaḳhs kā bhī chaak garebān kiyā jaa.e
pahle bhī 'qatīl' āñkhoñ ne khaa.e ka.ī dhoke
ab aur na bīnā.ī kā nuqsān kiyā jaa.e