phir tirā shahr tirī rāhguzar ho ki na ho
aur ho bhī to mujhe shauq-e-safar ho ki na ho
ho na ho phir se rag-o-pai meñ sharāroñ kā gumāñ
phir kabhī dosh pe mere tirā sar ho ki na ho
maañg luuñ tere havāle se to shāyad mil jaa.e
kyā ḳhabar sirf duāoñ meñ asar ho ki na ho
nā-umīdī ke ye shab-zād Darāte haiñ mujhe
tere aane se munavvar mirā ghar ho ki na ho
mujh se bhūlā na gayā un ke laboñ kā vo khiñchāv
yaad un ko bhī mirā dīda-e-tar ho ki na ho
ab bhī aa jaao koī der khulī haiñ āñkheñ
kyā ḳhabar phir kabhī dīvār meñ dar ho ki na ho
maañ ke āñchal ke tale baiTh lo kuchh der ai 'tāj'
kyā ḳhabar aage ye saaya ye shajar ho ki na ho