Husain Taj Rizvi

is haal mein jite ho to mar kyun nahin jate

Husain Taj Rizvi

is haal meñ jiite ho to mar kyuuñ nahīñ jaate
yuuñ TuuT chuke ho to bikhar kyuuñ nahīñ jaate
kaise haiñ ye armān ye kāvish ye tag-o-dau
manzil nahīñ ma.alūm to ghar kyuuñ nahīñ jaate
ashkoñ kī tarah kyuuñ mirī palkoñ pe ruke ho
ḳhanjar kī tarah dil meñ utar kyuuñ nahīñ jaate
maanā ki ye sab zaḳhm-e-jigar tum ne diye haiñ
marham se kisī aur ke bhar kyuuñ nahīñ jaate
ā.īna hai māhaul hai asbāb haiñ tum ho
ḳhātir mirī ik baar sañvar kyuuñ nahīñ jaate
be-ḳhud the kiyā ġhair se va.ada mujhe manzūr
aayā hai agar hosh mukar kyuuñ nahīñ jaate
ai 'tāj' ummīdoñ ke ye mausam bhī ajab haiñ
har rut kī tarah ye bhī guzar kyuuñ nahīñ jaate
Top Urdushayar.com