Dhalī jo shaam nazar se utar gayā sūraj
havā kisī ne uḌā dī ki mar gayā sūraj
sahar huī nahīñ kab se guzishta shaam ke ba.ad
ġhurūb ho ki na jaane kidhar gayā sūraj
sajī huī hai sitāroñ kī anjuman ai dil
ki paara paara falak par bikhar gayā sūraj
lagā ki khīñch lī us ne zamīn pairoñ se
lagā ki talvoñ ko chhū kar guzar gayā sūraj
ye kaisā jalva ke bīnā.ī luT ga.ī merī
ki merī aañkh ke andar utar gayā sūraj
chhupā thā maslahatan shaam se sameT ke nuur
muhīb raat ye samjhī ki Dar gayā sūraj
shafaq tamām lahū-rañg ho gayā lekin
hujūm-e-ġham se bahut pur-jigar gayā sūraj
hamesha taaj kā iqbāl yuuñ buland rahā
jidhar jidhar nazar aayā udhar gayā sūraj