dar-o-dīvār kī zad se nikalnā chāhtā huuñ maiñ
havā-e-tāza tere saath chalnā chāhtā huuñ maiñ
vo kahte haiñ ki āzādī asīrī ke barābar hai
to yuuñ samjho ki zanjīreñ badalnā chāhtā huuñ maiñ
numū karne ko hai merā lahū qātil ke siine se
vo chashma huuñ ki patthar se ubalnā chāhtā huuñ maiñ
buland o past duniyā faisla karne nahīñ detī
ki girnā chāhtā huuñ yā sambhalnā chāhtā huuñ maiñ
mohabbat meñ havas kā sā mazā milnā kahāñ mumkin
vo sirf ik raushnī hai jis meñ jalnā chāhtā huuñ maiñ