Irfan Siddiqi

zamin par shor-e-mahshar roz o shab hota hi rahta hai

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
zamīñ par shor-e-mahshar roz o shab hotā hī rahtā hai
ham apne giit gaa.eñ ye to sab hotā hī rahtā hai
ye ham ne bhī sunā hai ālam-e-asbāb hai duniyā
yahāñ phir bhī bahut kuchh be-sabab hotā hī rahtā hai
tirī ḳhātir ka.ī sachchā.iyoñ se kaT ga.e rishte
mohabbat meñ to ye tark-e-nasab hotā hī rahtā hai
musāfir raat ko is dasht meñ bhī ruk hī jaate haiñ
hamāre dil meñ bhī jashn-e-tarab hotā hī rahtā hai
koī shai tasht meñ ham sar se kam qīmat nahīñ rakhte
so aksar ham se nazrāna talab hotā hī rahtā hai
Top Urdushayar.com