sukūt-e-ḳhauf yahāñ kū-ba-kū pukārtā hai
na us kī teġh na merā lahū pukārtā hai
maiñ apnī khoī huī lauh kī talāsh meñ huuñ
koī tilism mujhe chār-sū pukārtā hai
vo mujh meñ bolne vaalā to chup hai barsoñ se
ye kaun hai jo tire rū-ba-rū pukārtā hai
nidā-e-koh bahut khīñchtī hai apnī taraf
mire hī lahje meñ vo hīla-jū pukārtā hai
hamārā ahd hai be-barg-o-bār shāḳhoñ se
agarche qāfila-e-rañg-o-bū pukārtā hai
ki jaise maiñ sar-e-dariyā ghirā huuñ nezoñ meñ
ki jaise ḳhema-e-sahrā se tū pukārtā hai