charāġh dene lagegā dhuāñ na chhū lenā
tū merā jism kahīñ merī jaañ na chhū lenā
zamīñ chhuTī to bhaTak jāoge ḳhalāoñ meñ
tum uḌte uḌte kahīñ āsmāñ na chhū lenā
nahīñ to barf sā paanī tumheñ jalā degā
gilās lete hue uñgliyāñ na chhū lenā
hamāre lahje kī shā.istagī ke dhoke meñ
hamārī bātoñ kī gahrā.iyāñ na chhū lenā
uḌe to phir na mileñge rafāqatoñ ke parind
shikāyatoñ se bharī Tahniyāñ na chhū lenā
muravvatoñ ko mohabbat na jānñā 'irfān'
tum apne siine se nok-e-sināñ na chhū lenā