sarāb-e-dasht tujhe āzmāne vaalā kaun
batā ye apne lahū meñ nahāne vaalā kaun
savād-e-shām ye shahzād-gān-e-sub.h kahāñ
siyāh shab meñ ye sūraj ugāne vaalā kaun
ye regzār meñ kis harf-e-lāzavāl kī chhāñv
shajar ye dasht-e-ziyāñ meñ lagāne vaalā kaun
ye kaun rāsta roke hue khaḌā thā abhī
aur ab ye raah ke patthar haTāne vaalā kaun
ye kaun hai ki jo tanhā.ī par bhī raazī hai
ye qatl-gāh se vāpas na jaane vaalā kaun
badan ke nuqra.ī TukḌe lahū kī ashrafiyāñ
idhar se guzrā hai aise ḳhazāne vaalā kaun
ye kis ke naam pe teġh-e-jafā nikaltī huī
ye kis ke ḳheme, ye ḳheme jalāne vaalā kaun
ubharte Dūbte manzar meñ kis kī raushaniyāñ
kalām-e-haq sar-e-neza sunāne vaalā kaun
milī hai jaan to us par nisār kyuuñ na karūñ
tū ai badan mire raste meñ aane vaalā kaun