sham-e-tanhā kī tarah sub.h ke taare jaise
shahr meñ ek hī do hoñge hamāre jaise
chhū gayā thā kabhī is jism ko ik shola-e-dard
aaj tak ḳhaak se uḌte haiñ sharāre jaise
hausle detā hai ye abr-e-gurezāñ kyā kyā
zinda huuñ dasht meñ ham us ke sahāre jaise
saḳht-jāñ ham sā koī tum ne na dekhā hogā
ham ne qātil ka.ī dekhe haiñ tumhāre jaise
dīdanī hai mujhe siine se lagānā us kā
apne shānoñ se koī bojh utāre jaise
ab jo chamkā hai ye ḳhanjar to ḳhayāl aatā hai
tujh ko dekhā ho kabhī nahr kināre jaise
us kī āñkheñ haiñ ki ik Dūbne vaalā insāñ
dūsre Dūbne vaale ko pukāre jaise