vahshat ke saath dasht mirī jaan chāhiye
is aish ke liye sar-o-sāmān chāhiye
kuchh ishq ke nisāb meñ kamzor ham bhī haiñ
kuchh parcha-e-savāl bhī āsān chāhiye
tujh ko supurdagī meñ simaTnā bhī hai zarūr
sachchā hai kārobār to nuqsān chāhiye
ab tak kis intizār meñ baiThe hue haiñ log
ummīd ke liye koī imkān chāhiye
hogā yahāñ na dast-o-garebāñ kā faisla
is ke liye to hashr kā maidān chāhiye
āḳhir hai e'tibār-e-tamāshā bhī koī chiiz
insān thoḌī der ko hairān chāhiye
jaarī haiñ pā-e-shauq kī īzā-rasānīyāñ
ab kuchh nahīñ to sair-e-bayābān chāhiye
sab shā.irāñ ḳharīda-e-darbār ho ga.e
ye vāqi.a to dāḳhil-e-dīvān chāhiye
mulk-e-suḳhan meñ yuuñ nahīñ aane kā inqalāb
do-chār baar nuun kā elaan chāhiye
apnā bhī muddatoñ se hai ruq.a lagā huā
bilqīs-e-shā.irī ko sulaimān chāhiye