suḳhan meñ rañg tumhāre ḳhayāl hī ke to haiñ
ye sab karishme havā-e-visāl hī ke to haiñ
kahā thā tum ne ki laatā hai kaun ishq kī taab
so ham javāb tumhāre savāl hī ke to haiñ
zarā sī baat hai dil meñ agar bayāñ ho jaa.e
tamām mas.ale iz.hār-e-hāl hī ke to haiñ
yahāñ bhī us ke sivā aur kyā nasīb hameñ
ḳhutan meñ rah ke bhī chashm-e-ġhazāl hī ke to haiñ
jasārat-e-suḳhan-e-shā.irāñ se Darnā kiyā
ġharīb mashġhala-e-qīl-o-qāl hī ke to haiñ
havā kī zad pe hamārā safar hai kitnī der
charāġh ham kisī shām-e-zavāl hī ke to haiñ