ḳhayāl-e-jubba-o-dastār bhī nahīñ baaqī
vo kashmakash hai ki ik taar bhī nahīñ baaqī
chaman ko rauñd ga.e qāfile bahāroñ ke
guloñ kā zikr hī kyā ḳhaar bhī nahīñ baaqī
lagī huī haiñ zamīr-e-hayāt par mohreñ
kisī meñ jur.at-e-iz.hār bhī nahīñ baaqī
kabhī kabhī jo rag-e-jāñ se phuuT paḌtā hai
vo naġhma-e-rasn-o-dār bhī nahīñ baaqī
hameñ to kufr kā ta.ana diyā thā vaa.iz ne
haram meñ ab koī dīñ-dār bhī nahīñ baaqī
luTā jo apnā gulistāñ to ham ne ye samjhā
koī bahisht ufuq paar bhī nahīñ baaqī
guzar ga.e vo suḳhan-fahmiyoñ ke hañgāme
koī kisī kā taraf-dār bhī nahīñ baaqī