Irfan Siddiqi

zer-e-mehrab na baala-e-makan bolti hai

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004

zer-e-mehrāb na bālā-e-makāñ boltī hai

ḳhāmushī aa ke sar-e-ḳhalvat-e-jāñ boltī hai

ye mirā vahm hai mujh ko bulāte haiñ vo log

kaan bajte haiñ ki mauj-e-guzarāñ boltī hai

lo sāvāl-e-dahan-e-basta aatā hai javāb

tiir sargoshiyāñ karte haiñ kamāñ boltī hai

ek maiñ huuñ ki is āshob-e-navā meñ chup huuñ

varna duniyā mire zaḳhmoñ zabāñ boltī hai

aalam hai giraftāroñ ābādī meñ

ham to sunte the ki zanjīr-e-girāñ boltī hai

dard ke baab meñ timsāl-garī hai ḳhāmosh

ban bhī jaatī hai to tasvīr kahāñ boltī hai

Top Urdushayar.com