Irfan Siddiqi

mere hone mein kisi taur se shamil ho jao

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
mere hone meñ kisī taur se shāmil ho jaao
tum masīhā nahīñ hote ho to qātil ho jaao
dasht se duur bhī kyā rañg dikhātā hai junūñ
dekhnā hai to kisī shahr meñ dāḳhil ho jaao
jis pe hotā hī nahīñ ḳhūn-e-do-ālam sābit
baḌh ke ik din usī gardan meñ hamā.il ho jaao
vo sitamgar tumheñ tasḳhīr kiyā chāhtā hai
ḳhaak ban jaao aur us shaḳhs ko hāsil ho jaao
ishq kyā kār-e-havas bhī koī āsān nahīñ
ḳhair se pahle isī kaam ke qābil ho jaao
abhī paikar hī jalā hai to ye aalam hai miyāñ
aag ye ruuh meñ lag jaa.e to kāmil ho jaao
maiñ huuñ yā mauj-e-fanā aur yahāñ koī nahīñ
tum agar ho to zarā raah meñ haa.il ho jaao
Top Urdushayar.com