ishq miyāñ is aag meñ merā zāhir hī chamkā denā
mere badan kī miTTī ko zarā kundan-rañg banā denā
aao tumhārī nazr kareñ ham ek charāġh hikāyat kā
jab tak jaago raushan rakhnā niiñd aa.e to bujhā denā
biis ikkīs baras pīchhe hameñ kab tak milte rahnā hai
dekho, ab kī baar milo to dil kī baat batā denā
siine ke vīrāne meñ ye ḳhushbū ek karāmat hai
varna itnā sahal nahīñ thā raakh meñ phuul khilā denā
dil kī zamīñ tak raushniyāñ thīñ, chehre the, hariyālī thī
ab to jahāñ bhī sāhil paanā kashtī ko Thahrā denā
maulā, phir mire sahrā se bin barse bādal lauT ga.e
ḳhair, shikāyat koī nahīñ hai agle baras barsā denā
ḳhvāja ḳhizr suno ham kab se is bastī meñ bhaTakte haiñ
tum ko agar taklīf na ho to jañgal tak pahuñchā denā