Irfan Siddiqi

wo un dinon to hamara tha lekin ab kya hai

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
vo un dinoñ to hamārā thā lekin ab kyā hai
phir us se aaj vahī ranj-e-be-sabab kyā hai
tum us kā vaar bachāne kī fikr meñ kyuuñ ho
vo jāntā hai masīhā.iyoñ kā Dhab kyā hai
dabīz kohar hai yā narm dhuup kī chādar
ḳhabar nahīñ tire baad ai ġhubār-e-shab kyā hai
dikhā rahā hai kise vaqt an-ginat manzar
agar maiñ kuchh bhī nahīñ huuñ to phir ye sab kyā hai
ab is qadar bhī sukūñ mat dikhā bichhaḌte hue
vo phir tujhe na kabhī mil sake ajab kyā hai
maiñ apne chehre se kis tarah ye naqāb uThā.ūñ
samajh bhī jā ki pas-e-parda-e-tarab kyā hai
yahāñ nahīñ hai ye dastūr-e-guftugū 'irfān'
fuġhāñ sune na koī harf-e-zer-e-lab kyā hai
Top Urdushayar.com