Irfan Siddiqi

dhanak se phul se barg-e-hina se kuchh nahin hota

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
dhanak se phuul se barg-e-hinā se kuchh nahīñ hotā
badan sahrā hue āb-o-havā se kuchh nahīñ hotā
bahut kuchh dosto bismil ke chup rahne se hotā hai
faqat us ḳhanjar-e-dast-e-jafā se kuchh nahīñ hotā
agar vus.at na diije vahshat-e-jāñ ke ilāqe ko
to phir āzādī-e-zanjīr-e-pā se kuchh nahīñ hotā
koī koñpal nahīñ is ret kī tah meñ to kyā nikle
yahāñ ai sāda-dil kaalī ghaTā se kuchh nahīñ hotā
azal se kuchh ḳharābī hai kamānoñ kī samā.at meñ
parindo shoḳhī-e-saut-o-sadā se kuchh nahīñ hotā
chalo ab āsmāñ se aur koī rābta socheñ
bahut din ho ga.e harf-e-duā se kuchh nahīñ hotā
Top Urdushayar.com