badal ga.ī hai fazā niile āsmānoñ kī
bahut dinoñ meñ khulīñ khiḌkiyāñ makānoñ kī
bas ek baar jo lañgar uThe to phir kyā thā
havā.eñ taak meñ thiiñ jaise bādbānoñ kī
koī pahāḌ rukā hai kabhī zamīñ ke baġhair
har ek bojh panah chāhtā hai shānoñ kī
to ġhāliban vo hadaf hī hadoñ se bāhar thā
ye kaise TuuT ga.iiñ Doriyāñ kamānoñ kī
jo hai vo kal ke savāloñ ke intizār meñ hai
ye zindagī hai ki hai raat imtihānoñ kī