Irfan Siddiqi

mujhe bacha bhi liya chhoD kar chala bhi gaya

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
mujhe bachā bhī liyā chhoḌ kar chalā bhī gayā
vo mehrbāñ pas-e-gard-e-safar chalā bhī gayā
vagarna tañg na thī ishq par ḳhudā kī zamīñ
kahā thā us ne to maiñ apne ghar chalā bhī gayā
koī yaqīñ na kare maiñ agar kisī ko batā.ūñ
vo uñgliyāñ thiiñ ki zaḳhm-e-jigar chalā bhī gayā
mire badan se phir aa.ī ga.e dinoñ kī mahak
agarche mausam-e-barg-o-samar chalā bhī gayā
havā kī tarah na dekhī mirī ḳhizāñ kī bahār
khilā ke phuul mirā ḳhush-nazar chalā bhī gayā
ajiib raushaniyāñ thiiñ visāl ke us paar
maiñ us ke saath rahā aur udhar chalā bhī gayā
kal us ne sair karā.ī na.e jahānoñ kī
to rañj-e-nārasī-e-bāl-o-par chalā bhī gayā
Top Urdushayar.com