haq fat.h-yāb mere ḳhudā kyuuñ nahīñ huā
tū ne kahā thā terā kahā kyuuñ nahīñ huā
jab hashr isī zamīñ pe uThā.e ga.e to phir
barpā yahīñ pe roz-e-jazā kyuuñ nahīñ huā
vo sham.a bujh ga.ī thī to kohrām thā tamām
dil bujh ga.e to shor-e-azā kyuuñ nahīñ huā
vāmāñdgāñ pe tañg huī kyuuñ tirī zamīñ
darvāza āsmān kā vā kyuuñ nahīñ huā
vo sho.ala-sāz bhī isī bastī ke log the
un kī galī meñ raqs-e-havā kyuuñ nahīñ huā
āḳhir isī ḳharābe meñ zinda haiñ aur sab
yuuñ ḳhaak koī mere sivā kyuuñ nahīñ huā
kyā jazb-e-ishq mujh se ziyāda thā ġhair meñ
us kā habīb us se judā kyuuñ nahīñ huā
jab vo bhī the gulū-e-burīda se nāla-zan
phir kushtagāñ kā harf rasā kyuuñ nahīñ huā
kartā rahā maiñ tere liye dostoñ se jañg
tū mere dushmanoñ se ḳhafā kyuuñ nahīñ huā
jo kuchh huā vo kaise huā jāntā huuñ maiñ
jo kuchh nahīñ huā vo batā kyuuñ nahīñ huā