badan ke donoñ kināroñ se jal rahā huuñ maiñ
ki chhū rahā huuñ tujhe aur pighal rahā huuñ maiñ
tujhī pe ḳhatm hai jānāñ mire zavāl kī raat
tū ab tulū bhī ho jā ki Dhal rahā huuñ maiñ
bulā rahā hai mirā jāma-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jāñ badal rahā huuñ maiñ
ġhubār-e-rāhguzar kā ye hausla bhī to dekh
havā-e-tāza tire saath chal rahā huuñ maiñ
maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ ki vo pukārtā hai
aur apne jism se bāhar nikal rahā huuñ maiñ