Qateel Shifai

be-KHudi mein pahlu-e-iqrar pahle to na tha

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
be-ḳhudī meñ pahlū-e-iqrār pahle to na thā
itnā ġhāfil vo but-e-ayyār pahle to na thā
ahl-e-dil jaate haiñ ab dār-o-rasan kī raah se
is qadar mushkil visāl-e-yār pahle to na thā
misr kī galiyāñ utar aa.ī haiñ apne shahr meñ
husn vāloñ kā ye hāl-e-zār pahle to na thā
aa rahī hai ḳhud-baḳhud shāyad koī manzil qarīb
mehrbāñ yuuñ qāfila-sālār pahle to na thā
us meñ bhī kuchh raaz hai varna dayār-e-husn meñ
dard-mandoñ kā koī ġham-ḳhvār pahle to na thā
hosh meñ aane lage haiñ un bahāroñ ke tufail
varna dīvānoñ kā ye kirdār pahle to na thā
roz-o-shab apne liye haiñ qatl ke fatve 'qatīl'
muftī-e-shahr is qadar dīn-dār pahle to na thā
Top Urdushayar.com