Irfan Siddiqi

jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruḳhsār pe ḳhaak
uḌtī hai ḳhāna-e-dil ke dar-o-dīvār pe ḳhaak
tū ne miTTī se ulajhne kā natīja dekhā
Daal dī mere badan ne tirī talvār pe ḳhaak
ham ne muddat se ulaT rakkhā hai kaasa apnā
dast-e-dādār tire dirham-o-dīnār pe ḳhaak
putliyāñ garmī-e-nazzāra se jal jaatī haiñ
aañkh kī ḳhair miyāñ raunaq-e-bāzār pe ḳhaak
jo kisī aur ne likkhā hai use kyā ma.alūm
lauh-e-taqdīr bajā chehra-e-aḳhbār pe ḳhaak
chaar dīvār-e-anāsir kī haqīqat kitnī
ye bhī ghar Duub gayā dīda-e-ḳhūñ-bār pe ḳhaak
pā-e-vahshat ne ajab naqsh banā.e the yahāñ
ai havā-e-sar-e-sahrā tirī raftār pe ḳhaak
ye ġhazal likh ke harīfoñ pe uḌā dī maiñ ne
jam rahī thī mire ā.īna-e-ash.ār pe ḳhaak
ye bhī dekho ki kahāñ kaun bulātā hai tumheñ
mahzar-e-shauq paḌho mahzar-e-sarkār pe ḳhaak
aap kyā naqd-e-do-ālam se ḳharīdeñge ise
ye to dīvāne kā sar hai sar-e-pindār pe ḳhaak
Top Urdushayar.com