Irfan Siddiqi

jaan se guzre bhi to dariya se guzarenge tumhein

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
jaañ se guzre bhī to dariyā se guzāreñge tumheñ
saath mat chhoḌnā ham paar utāreñge tumheñ
tum suno yā na suno haath baḌhāo na baḌhāo
Dūbte Dūbte ik baar pukāreñge tumheñ
dil pe aatā hī nahīñ fasl-e-tarab meñ koī phuul
jaan, is shāḳh-e-shajar par to na vāreñge tumheñ
khel ye hai ki kise kaun sivā chāhtā hai
jiit jāoge to jaañ nazr guzāreñge tumheñ
kaisī zebā.ī hai jab se tumheñ chāhā ham ne
aur chāheñge tumheñ aur sanvāreñge tumheñ
ishq meñ ham koī da.avā nahīñ karte lekin
kam se kam mārka-e-jāñ meñ na hāreñge tumheñ
Top Urdushayar.com