Irfan Siddiqi

ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
ab zabāñ ḳhanjar-e-qātil kī sanā kartī hai
ham vahī karte haiñ jo ḳhalq-e-ḳhudā kartī hai
phir koī raat bujhā detī hai merī āñhkeñ
phir koī sub.h darīche mire vā kartī hai
ek paimān-e-vafā ḳhāk-basar hai sar-e-shām
ḳhema ḳhālī huā tanhā.ī azā kartī hai
hū kā aalam hai giraftāroñ kī ābādī meñ
ham to sunte the ki zanjīr sadā kartī hai
kaisī miTTī hai ki dāman se lipaTtī hī nahīñ
kaisī maañ hai ki jo bachchoñ ko judā kartī hai
ab numūdār ho is gard se ai nāqa-savār
kab se bastī tire milne kī duā kartī hai
Top Urdushayar.com