faqīrī meñ ye thoḌī sī tan-āsānī bhī karte haiñ
ki ham dast-e-karam duniyā pe arzānī bhī karte haiñ
dar-e-rūhāniyāñ kī chākarī bhī kaam hai apnā
butoñ kī mamlikat meñ kār-e-sultānī bhī karte haiñ
junūñ vāloñ kī ye shā.istagī turfa-tamāshā hai
rafū bhī chāhte haiñ chāk-dāmānī bhī karte haiñ
mujhe kuchh shauq-e-nazzāra bhī hai phūloñ ke chehroñ kā
magar kuchh phuul chehre merī nigrānī bhī karte haiñ
jo sach pūchho to zabt-e-ārzū se kuchh nahīñ hotā
parinde mere siine meñ pur-afshānī bhī karte haiñ
hamāre dil ko ik āzār hai aisā nahīñ lagtā
ki ham daftar bhī jaate haiñ ġhazal-ḳhvānī bhī karte haiñ
bahut nauhagarī karte haiñ dil ke TuuT jaane kī
kabhī aap apnī chīzoñ kī nigahbānī bhī karte haiñ