is takalluf se na poshāk-e-badan-gīr meñ aa
ḳhvāb kī tarah kabhī ḳhvāb kī ta.abīr meñ aa
maiñ bhī ai surḳhi-e-be-nām tujhe pahchānūñ
tū hinā hai ki lahū paikar-e-tasvīr meñ aa
is ke halqe meñ tag-o-tāz kī vus.at hai bahut
āhū-e-shahar, mirī bāñhoñ kī zanjīr meñ aa
chāra-gar ḳhair se ḳhush-zauq hai ai merī ġhazal
kaam ab tū hī mire dard kī tash.hīr meñ aa
vo bhī āmāda bahut din se hai sunñe ke liye
ab to ai harf-e-talab ma.ariz-e-taqrīr meñ aa
ek rañg āḳhirī manzar kī dhanak meñ kam hai
mauj-e-ḳhūñ uTh ke zarā arsa-e-shamshīr meñ aa