Qateel Shifai

maine puchha pahla patthar mujh par kaun uThaega

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
maiñ ne pūchhā pahlā patthar mujh par kaun uThā.egā
aa.ī ik āvāz ki tū jis kā mohsin kahlā.egā
pūchh sake to pūchhe koī ruuTh ke jaane vāloñ se
raushniyoñ ko mere ghar kā rasta kaun batā.egā
Daalī hai is ḳhush-fahmī ne aadat mujh ko sone kī
niklegā jab sūraj to ḳhud mujh ko aan jagā.egā
logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
pīchhe muḌ kar dekhne vaalā patthar kā ho jā.egā
din meñ hañs kar milne vaale chehre saaf batāte haiñ
ek bhayānak sapnā mujh ko saarī raat Darā.egā
mere ba.ad vafā kā dhokā aur kisī se mat karnā
gaalī degī duniyā tujh ko sar merā jhuk jā.egā
suukh ga.ī jab āñkhoñ meñ pyaar kī niilī jhiil 'qatīl'
tere dard kā zard samundar kaahe shor machā.egā
Top Urdushayar.com