Irfan Siddiqi

darwazon par din bhar ki thakan tahrir hui

Irfan Siddiqi

Badayun, Uttar pradesh, India

1939-2004
darvāzoñ par din bhar kī thakan tahrīr huī
mire shahr kī shab har chaukhaT kī zanjīr huī
sab dhuup utar ga.ī TuuTī huī dīvāroñ se
magar ek kiran mere ḳhvāboñ meñ asiir huī
mirā suunā ghar mire siine se lag kar rotā hai
mire bhaa.ī tumheñ is baar bahut tāḳhīr huī
hameñ rañj bahut thā dasht kī be-imkānī kā
lo ġhaib se phir ik shakl zuhūr-pazīr huī
koī hairat mere lahje kī pahchān banī
koī chāhat mere lafzoñ kī tāsīr huī
is dard ke qātil-manzar ko ilzām na do
ye to dekhne vaalī āñkhoñ kī taqsīr huī
kisī lashkar se kahīñ bahtā paanī ruktā hai
kabhī jū-e-ravāñ kisī zālim kī jāgīr huī
phir lauh pe luTne vaale ḳhazāne likhe ga.e
mujhe ab ke baras bhī daulat-e-jāñ taqdīr huī
Top Urdushayar.com